تحریری مقابلہ
قبول اس سے ہمیں کوئی فاصلہ بھی نہیں
ہمارے پاس مگر دوجا راستہ بھی نہیں
Qubool us se hame koi fasla bhi nahi
Hamare paas magar duja rasta bhi nahi
بچھڑ کے مجھ سے مرے ذہن و دل میں رہتا ہے
وہ شخص جا بھی چکا ہے مگر گیا بھی نہیں
Bichad ke mujhse mere zehn o dil me rehta hai
Wo shakhs jaa bhi chuka hai magar gaya bhi nahi
ہمارے ساتھ طلسماتی زخم ہے لوگوں
کہ جو ہرا بھی نہیں ہے مگر بھرا بھی نہیں
Hamare sath tilismati zakhm hai logo
Ki jo hara bhi nahi hai magar bhara bhi nahi
یہ معجزہ ہے لگے آگ اور دھواں نہ اٹھے
ہمیں ہے عشق مگر کوئی جانتا بھی نہیں
Ye mojaza hai lage aag aur dhuwa na uthey
Hame hai ishq hai magar koi janta bhi nahi
رقیب جو تھا مرا یار ہی تھا سو مجھکو
یقیں ہوا بھی مگر پھر یقیں ہوا بھی نہیں
Raqeeb jo tha mera yaar hi tha so mujhko
Yaqee'n hua bhi magar fir yaqee'n hua bhi nahi
یہ عشق ایک قفس ہے قفس بھی ایسا ہے
کہ جسکا قفل مرے دوست ٹوٹتا بھی نہیں
Ye ishq ek qafas hai qafas bhi aisa hai
Ki jiska qufl mere dost toot'ta bhi nahi
ہم آگئے ہیں مقابل میں سامری کے مگر
ہمارے پاس میاں کوئی معجزہ بھی نہیں
Ham aagaye hain muqabil me saamri ke magar
Hamare paas miya koi mojaza bhi nahi
یہ میرے رب کا کرم ہے جو یہ ہوا ممکن
ہوا رکی بھی نہیں اور دیا بجھا بھی نہیں
Ye mere Rab ka karam hai jo ye hua mumkin
Hawa ruki bhi nahi aur dia jala bhi nahi
یہ انتہا ہے ترے ظلم کی؟ ارے ظالم
ابھی تو صبر کی میرے یہ ابتداء بھی نہیں
Ye inteha hai tere zulm ki? aree zalim!
Abhi to sabr ki mere ye ibteda bhi nahi
فرشتے دیکھ کے حیران کیوں نہ ہوں تجھکو
تو آدمی بھی ہے کرتا مگر خطا بھی نہیں
Farishtey dekh ke hairan kyu'n na ho'n tujhko
Tu aadmi bhi hai karta magar khata bhi nahi
تمہارا نقش اتارا ہے اس میں سو جاناں
غزل میں اتنا حسیں کوئی قافیہ بھی نہیں
Tumhara naqsh utara hai isme so jaana'n
Gazal me itna hasee'n koi qafiya bhi nahi
غزل کو کر دو مکمل کہ سیدِ عابد
اب اور لکھنے کو دل میں لہو بچا بھی نہیں
Gazal ko kar do mukammal ki sayyad e Abid
Ab aur likhne ko dil me lahu bacha bhi nahi
سید تہذیب عابد
Sayed Tehzeeb Abid
asma saba khwaj
05-Apr-2022 12:37 PM
Bhut khoob
Reply